Keerio Cast History


History of keerio/ agar sindh k naqshay par nazar dali jay to tharparkar district m korai aur papuri k beech m keeria ilaqa nazar aaig mamoori yusfani n likha h k jam habby k 2 baitay thay jam samoon aur jam keerio in m jam keerio n keerio ilaqay par hukumat ki jam keerio ki nasal agay bhari jo k aaj bhi sindh k mukhtalif ilaqon m bari tadad m mojood h isay ye kaha jasakta h keerio nasal jam habby k baitay jam keeria ki olad h jam keerio k naam s aaj bhi keeria jabal keeria shakh keeria san mojood h kahin kahin to buaht sari choti choti keeria uc keeria nehar mojood h aik shair n to jam keerio k liye kaha hay k aap shad aur abad rahain doctor nabi bux baloch n to keeria cast k lughvi mani karar ka kachcha phal nikala hay keeria cast ko sahib sama ki shakh tasawur kiya jata h tarekh tibri m to keerio ko arab khandan m s tasleem kiya h mian wali muhammad chotiyari aur wali muhammad keerio(sityaro) n tareekh tibri ki jildi jop ka hawala dai kar kaha h k misr m keerio kery bardar h wahan s wo log sindh m dakhil huay aur unki olad ko keerio kaha jata h aur keerio arab ki olad h magar haqeeqat ye h keerio samat hain nka talauq sindh s hian aur ye sindh k bashinday hain (from:shahid ali keerio karachi) (read less)

Keerio cast ki tareekh ko mukammal karnay k ikhattay karna hamara farz h inshallah hamari ye kawish aap ko buhat pasand aaigi jaisa k guzra waqt aanay wala waqt aur mojooda waqt k mazhab tehzeeb saqafat rasm o rawaj tor tareeqay uthna baithna khana peena waghaira ki parakh aur jan pehchan k liye hamain tarikh ki maloomat laina zaroori h kiyon k samaj aur muashary ko sahi dekhna h tareekh aik aainay jaisi h tarikh s hamain ye dekhna h k qomain kaisay abad huyien aur kaisay barbad huyien aur un k ghar kaisay barbad buay hamari sarzameen sindh m kai qomain abad hooien aur kaisay barbad hogain samat qom wali cast yahan k asal malik hain in qomon m keerio qom samat qabeelay ka aham hissa h jo unnar qabeelay wali casts m shumar hotay hain hamari apni koshish h k keerio qom ki tareekh ko ikhattay kar k apni keerio baradri k azeem buzurg alim aur durwaishon par mazmoon likhna aur keerio baradri k alim shair tajzia nigar aur un logon ko k jin ho n mulk m kiya puri dunia m naam kamaya h manzar aam par lana h aur pani baradri ko apas m muhabbat aur piyar ka dars dena h aur inko taleem k medan m agay lana apni baradri ka apas m tarauf karwana aur in m shaur peda karna h m apnay tamam bhai aur behaon s darkhuast karta hoon k wo bhi agay aain aur is kar-e-khair m hissa laina jab ham m shaur hoga ho to ham apni cast k mutaliq kisi ko samjha saktay hain jab is muamlay m hamain hi maloomat nahi hogeen to phir khud soch lain k be shaur aur be ilm logon ka kiya hal hota h is wajha s hamain apni cast apni saqafat aur apni tezeeb aur rasm o rawaj ko agay bharana h aur is k liye mil k jad o jehad karni h to is site par jo bhi isay read karay us k liye zaroori h k wo keerio cast s mutaliq jo bhi maloomat rakhta h faraham karay aur maloomat m izafa karay